1.
Bani rukan kay ikhtiarat aur faraiz:-
1.
Bani rukan aik uhda ho ga jis ka maqsad tanzim ko ghalat
logoon say pak rakhna aur Aiin ki pabandi
karna aur karwana ho ga.
2.
Bani rukan ko us kay uhday say sirf bani rukan kay halfia
biyan ke joohtay sabit honay ya Aiin ke kisi
bhi nuktay kay khilaf amal sabit honay per wapas liya
ja sakay ga.
3.
Bani rukan kisi bhi karkun ko itlah ki bunyad per Aiini
adalat main apni safai ke liye bula sakay ga.
4.
Bani rukan Intazami ya siasi uhday main se aik uhda
lay sakta hay. Uhday ke faraiz ko poora karna
bani rukan ke liye bhi lazmi ho ga.
5.
Bani rukan kay Intazami ya siasi uhday kay faraiz pooray
na karnay ki soorat main uhda us se wapas
lay liya jaay ga.
6.
Bani rukan bannay kay liye is ki fees aur apne bare
main mukammal bunyadi aur mali maloomat ka form
jo kay halfia biyan bhi ho ga bhar kar dena lazmi ho
ga.
7.
Aiini meeting main shamil honay kay allawa Aiini rukan
ka uhda sirf Aiini rukan ki safarish per Aiini arkan
kay muttafiqa faisalay kay baad hi diya ja sakay ga.
Aiini rukan ka uhda 95% vote us rukan
kay haq main honay kay bad hi diya ja sakay ga.
2.
Awami rukan bannay kay qanoon (ikhtiarat aur faraiz):-
Yeh
rukniat her Pakistani is ki fees aur sharait man kar
hasil kar sakta hai.
1.
Her shakhs ko awami rukan card layna ho ga jo is tanzim
main shamil honay kay liyay lazmi ho ga. (tamam
Aiini aur Intazami arkan ko bhi)
2.
Awami rukan targhib ki shiq main form fill karnay kay
waqat jis karkun ka nam Darj karay ga wo us
ka siasi uhday ka vote tasawar ho ga.
3.
Awami arakin ki zima dari ho gi kay wo siasi aur Intazami
karkunoon kay bare main maloomat say tanzim
aur halqay kay logoon ko agah Karain ta kay tanzim ko
ghalat logoon say pak rakha ja sakay.
4.
Her awami rukan ko chuti wale din aik ghantay ke liye
muqarar karda waqat per meeting main shamil
hona ho ga. (Is meeting ka maqsad awami rukan kay masayal
kay bare main maloomat hasil
karna aur apas main baat chit say un ka hal talash karna
ho ga.)
5.
Baghair itlah 5 musalsal ghair hazrioon ki soorat main
rukniat kharij ho jaay gi. Rukniat kharij honey
ke baad nai rukniat hasil karna ho gi.
6.
Her awami rukan ko siasi arakin kay intikhab main vote
lazmi dena ho ga.
7.
Intazami ya siasi karkun ko bartaraf karne ke liye agar
ilzammat ka paka sabot na ho to halqay ki adalat
lagaay ja sakti hai.
|