Is
tanzim ke panch bunyadi maqasid hain jin ko hasil karnay
kay liye yeah tanzim banaai ja rahi hay.
1.
Pehla bunyadi maqsad Is tanzim ka Aiin (Qawaneen jin
per amal kar kay maqasid ko hasil kia ja-ay
ga) banana hay.
2.
Doosra bunyadi maqsad aam logoon ko apney apney halqay
main jama kar key apas ki mushkilaat ko
tamam sathoon per apni madad aap ke tehat hal karnay
ki kosish karna.
3.
Tisra bunyadi maqsad is mulk ko chalaney ke liye qabilay
amal qawaneen banana jin per tanzim kay
tamam rukan muttaafiq hoon. Yani Pakistani Aiin aur
Intizamia (tamam hukumti mehkamoon) kay
liye aise qawaneen tayar karna Jin ke zariay Intazami
amoor baghair aam admi ki haq talfi ke chal
sakain. Yani check and balance ka brabri ki bunyad per
nizam tashkil dena.
4.
Choutha maqsad lahay amal kay baray main aam logon ko
Bata kar un ki hamayt hasil karna.
5.
Panchwan bunyadi maqsad qabil aur dianat dar leaders
ki apney apney halqay main talash karna ta
kay wo elections kay zariay mulki masayal ko khatam
karnay ki koshish Karain.
In
maqasid ko hasil karnay kay 5 marhalay:-
1.
Pehla marhala Aiin ko bananay kay liye aise logon ki
talash karna jo kisi lalich ki waja say nahin balkay
apney masayal kay hal ki talash kay nazria kay tehat
baghair kisi muawazay kay Aiin ko bannay
kay amal main shamil ho sakain.
2.
Doosra marhala Aiin kay baray main logon ko Bata kar
un ko is baat per tayar karna kay wo apni madad
aap karnay kay liyay jama hoon ta kay chotay chotay
masayal ka hal bahimi mashwaray say
kiya ja sakay. Bohat say masayal aise hain jin ko asani
kay saath khud hi hal kiya ja sakta hai masalan
street ki safai kay liye agar street kay log apas main
baat kar kay sab gharroon main say
aik aik admi ko shamil kar kay sab aik waqat main safai
kar saktay hain ya in logoon kay group
bana kar mukhtalif auqat main safai karwaii ja sakti
hai.
3.
Tisra marhala Logoon ko targhib dena ka wo hukumti mehkamoon
kay logoon aur qawaneen ki waja
say paida kiyay gaay problems ko organization ko batain
aur her shakhs apney khyal main un
ka hal bhi paish karay ta kay logoon kay mashwaray ko
samnay rakhtay huay aise qawaneen tayar
kiyay jaain jin say kam karnay walay aur aam admi kay
faraiz aur haqooq ko braber kar diya
jaay takay idaray apna kam baghair logon ko tang kiyay
kar sakain. Aam logon kay problems
directly
jan kar hi koi qabilay amal tariqa banaya ja sakta hay.
4.
Choutha marhala in tamam maloomat ko tamam halqoon say
jama karna aur Phir un tamam mashwaroon
ko samnay rakhtay huay aik qabilay amal lahay amal bahimi
mashwaray aur ittefaq say
tayar karna hay.
5.
Akhri marhala us lahay amal ko aam logon ko Bata kar
un ki hamayt hasil karna ta kay elections kay
zariay say us lahay amal ka nifaz kiya jaay.
|