Is
tanzim kay bunyadi qawaneen Darj zail hain.
1.
kisi aur tanzim ya party ko is main shamil nahin kiya
ja sakta.
2.
Yeh tanzim kisi aur party main shamil ya kisi party
ka hissa nahin ban sakti.
3.
Is tanzim kay ticket se hasil karda kamiyabi kay baad
Kisi aur party ya tanzim main shamooliat per
ta hayat bedakhal kar diya jaay ga.
4.
Yeh tanzim kisi aur tanzim kay saath hakoomat bananay kay liye assembly
main muhaida sirf us soorat main
kar
sakti hai jab shamil honay wali party tanzim kay lahay
amal per ittefaq karay.
5.
Mukammal lahay amal bannay se pehlay election main hissa
nahin liya ja sakta.
6.
Election main kamiyabi ki soorat main lahay amal ka
nifaz yaqini banaya jaay ga.
7.
Kisi aik shakhs kay nam ki bajaay yeh tanzim lahay amal
kay projection per inhisaar karay gi.
8.
Tamam qawaneen brabri ki bunyad per tashkil diay jaain
gay.
9.
Meetings aur dastawizat kay liye Urdu zaban ka istimal
kiya jaay ga ta kay har rukan is ko samaj sakay.
10.
Is tanzim main tin kism kay mali funds hoon gay. (a).
Intazami funds. (b).
Siasi funds. (c).
Apni madad funds.
11.
Intazami Funds: yeh funds tanzim ki Intazami zaroorat
kay liye istimal hoon gay.
12.
Siasi funds: yeh funds elections muham kay ikhrajat
kay liye istimal hoon gay.
13.
Apni madad funds: yeh funds apni madad app ke programmes
per istimal hoon gay.
14.
Koi bhi karkun tanzim kay mali hisabbat ko kisi bhi
waqat checking fees day kar dekh sakay ga.
15.
Aiini arkan baghair fees kay Mali maloomat dekh sakain
gay.
16.
Tanzim ko Pakistan qawaneen kay mutabiq qaumi assembly
kay halqoon kay mutabiq taqsim kiya jaay
ga aur her halqa aik hissa kay taur per kam karay ga.
17.
Her halqa apney leader khud chunay ga aur her halqay
kay member do sall tak us leader ki qabliat
aur kam karnay ki slahhiyat ko baghair us ko taqat diay
dekh sakain gay ta kay koi ghalat
leader is platform kay zariay assembly tak na ja sakay.
18.
Her member ko aik form apney uhday kay mutabiq dena
ho ga jo us ka halfia biyan tasawar ho ga.
19.
Form ki Kisi shiq kay ghalat sabit honay per us ki rukniat
khatam kar di jaay gi.
20.
Aik shakhs tamam Pakistan main say sirf aik waqat main
aik halqay main say hi member ban sakta
hay.
21.
Her member apni mali maloomat ko ilzam lagnay say pehlay
tabdil kar sakta hay magar ilzam lagnay
kay baad rukan us main tabdil ka majaz nahin ho ga.
22.
Kisi bhi member kay khilaf ilzam lagnay ki soorat main
adalat main faisala ho ga. Adalat kay do hisay
hoon gay. Pehly adalat halqay ki adalat ho gi aur agar
halqay ki adalat main faisala na ho sakay
to Aiini adalat main faisala kiya jaay ga.
23.
Halqay ki adalat main us halqay kay tamam member Dono
memboroon ki baat sunnay kay baad
apna
faisala vote kay zariay Karain gay. Ilzam ko usi soorat
main sahih mana jaay ga agar ilzam lagnay
walay kay haq main 26% say kam vote Aain.
24.
Agar halqay ki adalat main uhdaydar kay khilaf vote
75% na hoon to us soorat main Aiini adalat main
faisala ho ga. Agar Aiini adalat main bhi 75% say kam
vote ilzam lagnay wale kay khilaf na Aain
to us ilzam ko ghalat ilzam tasawar kiya jaay ga.
|