|
AL-QURAN 49:10 The Believers are but a single Brotherhood: So make peace and reconciliation between your two (contending) brothers; and fear God, that ye may receive Mercy. Insaf kay taqazay sirf dono fariqoon ki poori baat sun kar hi kiay ja saktay hain Justice can only be possible by listening to the explanation of both parties
|
EHTISAB KA TARIQA Aiini adalat:- Aiini adalat darj zail wajoohat ki soorat main lagaii ja sakti hay. 1. Kisi bhi member kay khilaf ilzam lagnay ki soorat main faisala adalat main ho ga. Adalat kay do hisay hoon gay. Pehli adalat halqay ki adalat ho gi aur agar halqay ki adalat main faisala na ho sakay to Aiini adalat main faisala kiya jaay ga 2. Kisi bhi uhday dar kay khilaf kisi bhi kism ki shikait ya ilzam lagnay ki soorat main. (bani rukan bhi aik uhda hay) 3. Aiini adalat Dono fariqoon ki baat sunnay kay baad voting kay zariay faisala karay gi. Halqay ki adalat main us halqay kay tamam member Dono memboroon ki baat sunnay kay baad apna faisala vote kay zariay Karain gay. 4. Ilzam ko usi soorat main sahih mana jaay ga agar ilzam lagnay walay kay haq main 26% say kam vote Aain. 5. Uhday dar ko sirf usi soorat main uhday say kharij kiya ja sakta hai agar us kay haq main 26% say kam vote hoon. 6. Aiini adalat election ki ticket kay baray main kisi bhi na ittefaqi ki soorat main hatmi faisalay ki zaroorat kay waqat bhi lagaay jaay gi.
|