|
AL-QURAN 55:9 So establish weight with justice and fall not short in the balance. Iktiarqt, Faraiz aur Jawabdahi ko barabri ki bunyad per la kar hi rishwatkhori ki lanat ko kam kia ja sakta hay. Balance between Authority Responsibiblity and answering can lead to the decrease of corruption
|
LAHAY AMAL Lahay amal main Darj zail mehkamoon kay liye aise qawaneen ka tayar karna ho ga jo aik waqat main Dono kam kar sakain. Yani aam admi ko tang kiyay baghair Intazami amoor ko chala sakain. Qanoon bananay kay waqat is chizz ka khas khyal rakha jaay ga kay checking ki zima dari mehkamoon kay zima hoon na kay aam admi kay. Tartib jis per amal kiya jaay ga Darj zail hoon gay. Final tartib lahay amal kay baray main faisala karnay wali meetings main kiya jaay ga. 1. NADRA. 2. POLICE 3. ADLIA 4. TAX 5. CUSTOMS 6. BALDIYA 7. WAPDA 8. RIALWAY 9. INDUSTRY Lahay amal ki meetings main mehkamoon ki tartib kay baray main faisala voting kay zariay kia jaay ga. Jab tak lahay amal tayar nahin ho ga elections main hissa nahin liya ja sakta.
|