Tanzim
ki zaroorat kyoon?
Kiya
aap nay kabhi ghaur kiya ke ajj tak awam ka koi masla
hal kyoon nahin ho pata jab kay hakoomat bhi maujood
hai aur hukumti machinery bhi? Meri samaj kay mutabiq
is ki bunyadi waja taqat ya daulat kay hasool ki koshish
hay jis main wo log kamyab ho jatay hain. Taqat ya daulat
kay hasool kay Doran koi bhi masla baat chit kay zariay
hal nahin ho sakta. Koi bhi taqat ya daulat kay hasool
ki waja say brabri kay qawaneen kay nifaz per tayar
nahin hota aur jab tak qanoon sab kay liyay braber nahin
ho jata masayal kabhi khatam nahin ho sakain gay. Meri
samaj kay mutabiq Kisi bhi masla ka hal sirf usi waqat
nikal sakta hai jab taqat ya daulat kay hasool ka ansar
khatam Na kar diya jaay. Bohat ghaur karnay kay baad
main is natijay per pohncha hoon kay taqat ya daulat
kay hasool ka ansar sirf usi soorat main khatam karna
mumkin hay jab aam log (Intizamia aur mashhoor siasi
chayhroon ke allawa) jin main aik gharib kashtkar se
lay kar baray sanat kar aur aik aam admi se lay kar
dannishwar tak ko aik jaga jama kar kay in masayal per
behas mubahisay kay baad masayal kay hal kay baray main
muttafiqa faisalay na kiyay jaain. In Faisaloon kay
baad aise dianat dar aur qabil logon ki talash ki jaay
jo in Faisaloon per amal karnay ki slahhiyat rakhtay
hoon. Is main is chizz ka khas khyal rakha jaay kay
kisi ko taqat daynay se pehlay us ki dianat dari, qabliat
aur baygharzy ko parakhnay ka aik mukammal tariqa maujood
ho. Faisalay karnay ka tariqa kar Kisi bhi faisala karne
se pehlay tayar kia jaay. Phir us tariqa kar per amal
kar kay faisalay kiyay jaain aur Phir in Faisaloon per
amal karnay kay liye logoon ko tayar kiya jaay.
|