AL-QURAN 18:102 Do the Unbelievers think that they can take My servants as protectors besides Me? Verily We have prepared Hell for the Unbelievers for (their) entertainment.

 Shaksi Ijaara dari    ka khatama hi   sahi Nizam paida    karnay ka sabab      ban sakta hay

   Making a person        as Absolute    Authority cannot        lead to the     creation of ever      lasting system.

 

Aiin Ki Tashkil
Home 
Zaroorat Kyoon 
Maqasid 
Qawaneen 
Tanzimi Khaka 
Election Ticket 
Ehtisab 
Aiin Ki Tashkil 
Lahay Amal 
English Version 

 

      Agar app ko yeh khyal qabilay amal laga ho to app bhi is kay pehlay marhalay      main shamil ho saktay hain. Pehla marhala Aiin ko bannay ka hay. Aiin bananay      kay amal main shamil honay ke liye Darj zail sharait per ittefaq karna lazmi ho      ga. Aiin ki in bunyadi shiqoon ko man kar hi Aiini meeting main shamooliat ki ja      sakay gi. Agar Kisi member ko bhi in shiqoon main se kisi shiq se ikhtilaf ho ga to      wo apna nazria aur wajoohat biyan karnay ke baad meeting main voting karwa      sakay ga. Tamam memboroon se darkhawst hay ke wo apne khyalat ko qawaneen      main tabdil karnay ke liye puri tayari kar kay Aain takay kum se kum waqat main      aik qabilay amal Aiin tayar kia ja sakay.

               1. Tamam log jo is tanzim kay Aiin bannay wali meeting main us ke ikhtatam tak shamil rehnay aur                    meeting kay ikhtatam per Aiin ki tamam shiqoon per muttaafiq hone aur Aiin kay manzoor                    honay per half uthaain gay sirf wahi log "bani rukan" ka uhda hasil kar sakain gay.

               2. Bani rukan ka uhda ta hayat ho ga.

               3. Bani rukan ka uhda hasil karnay walay tamam bani rukunoon ko braber haqooq hasil hoon gay.

               4. Aiini rukan kisi bhi waqat tanzim ki mali muamalat aur kisi bhi uhdaydar ki maloomat aur us kay                    kam ka record check kar sakay ga.

               5. Tanzim main sadar ka uhda nahin ho ga balkay Tamam Aiini rukan mushtarka taur per sadar kay                    uhday main shamil hoon gay.

               6. Lahay amal kay baaray main kisi ikhtilaf ki soorat main Aiini arkan voting kay zariay faisala                    Karain gay.

               7. Aiin main kisi kism ki tarmim sirf bani rukan meeting main behas kay baad voting kay nataij per                    kar sakain gay.

               8. Sirf 81% bani arakin kay nai tarmim ke haq main vote daynay per nai tarmim manzoor ho sakay                    gi. Tarmim kay haq main 81% say kam vote honay ki soorat main tarmim manzoor nahin ki ja                    sakay gi.

               9. Tamam mazahib aur mazhabi firqay apni apni talimat main sahih tasawar kiyay jaain gay.                    Mazhabi talimat per ikhtilaf paida karnay Walloon ko tanzim ki rukniat se kahrij kar diya jaay ga.

             10. Her member qawaneen pesh kar sakay ga aur un qawaneen per behas ke baad voting kay                    zariay us qanoon kay Aiin main shamil honey ka faisala kia jaay ga.

             11. Sirf wo qanoon Aiin main shamil kiyay jaay ga jo 81% vote hasil kar sakay ga.            

             12. Her member qawaneen pesh kar sakay ga aur un qawaneen per behas ke baad voting kay                    zariay us qanoon kay Aiin main shamil honey ka faisala kia jaay ga.

             13. Sirf wo qanoon Aiin main shamil kiyay jaay ga jo 81% vote hasil kar sakay ga.

             14. Jin memboroon ko chand qawaneen se ikhtilaf ho ga un ko bhi voting ke baad un nataij ko                    manna ho ga warna wo bani rukan nahin ban sakain gay.

             15. Bani rukan bantay waqat har aik ko Quran per half dena ho ga kay wo is Aiin ko har soorat main                    manay ga aur is per amal karay ga.  (note: Tammam mazhib kay log apnay apnay  mazhabbi                    tariqay per half day sakain gay.)

     Aiin ki tashkil main shamil honay ka tariqa kar:-

     Zial main di gai sharait sirf Aiin ki tashkil main shamil honay kay liay hain. Is fees ka aam membership say      koi taalaq nahin hay aur yeh amal sirf aik dafa ho ga aur Fees bhi tab hi li jaay gi jab aisi meeting karni      ho gi. Fees meeting main shamil honay kay waqat yani meeting walay din members ki amad per li jaay gi.

               1. Aiin ki tashkil main shamooliat kay liye har bani rukan ko tanzim kay fund main aik hazar do so                    rupay fees dena ho gi.

               2. Fees yakmusht ya 12 mahana iqsat main ada ki ja sakti hay. Jo log mahana iqsat ki shart per                    shamil hoon gay un per tamam iqsat dena lazmi ho ga warna bani rukan ki Aiin bananay ki                    meeting main shamil honay ke bawajood bani karkun ki rukniat khatam kar di jaay gi.

               3. Meeting main shamil honey kay liye transport charges har member ko khud ada karnay hoon                    gay.

               4. Meeting ki jaga ka intizam tanzim karay gi.  

               5. Meeting ke ikhtatam tak rehnay aur khanay ke ikhrajat tanzim kay zima hoon gay.

               6. Rehnay ka intizam aur khana bilkul sada ho ga.

               7. Meeting kay dinoon ka taayyun tamam memboroon ke mabain salah mashwaray per ya ikhtilaf                    ki soorat main voting kay result per ho ga.

               8. Meeting 3 din tak jari rehay gi aur in tin dinoon main Aiin ko akhri shakal day di jaay gi.

               9. Meeting rozana do nashistoon main ho gi. Pehly nisihist subh 8:00hrs se 13:00hrs tak. Doosri                    nisihist membran ki aanay ke baad bahimi razamandi se ho gi.