Aam logoon main  ITTEHAD aur RABITA     hi tamam masayl           ka hal hay

 UNITY & DIALOGUE     among ordinary people can lead them     to the solution of       their problems

tanzimi_khyal
Home 
Zaroorat Kyoon 
Maqasid 
Qawaneen 
Tanzimi Khaka 
Election Ticket 
Ehtisab 
Aiin Ki Tashkil 
Lahay Amal 
English Version 

 

 

 AL-QURAN 2:179 In the Law o Equality there is (saving of) Life to you, o ye men of understanding; that ye may restrain yourselves.

Nizam Main Abtri Kyoon?

 

Aaj hamaray nizam main abtri ki bunyadi waja BRABRI kay ansar ki ghair maujoodgi aur aam admi ka nizam ki tayy aur daikh bhal main dilchasbi na laina hay. Jab tak aam admi apni vote ki taqat ka sahi istimal nahin karta is abtri main behtari ki koi soorat nikalna mushkil hay. Aam admi kay pass nizam ki khrabian door karnay kay amal main hissa lainay ka sirf aik hi mauqa hota hay aur wo mauqa hay election main apnay vote ki taqat ka sahi istimal. Jab tak ham apnay vote ki taqat ka sahi istimal karna nahin sikhain gay tab tak ham aiasay hi bewaqoof bantay rahain gay.  Aaiaay mil kar is abtri ki wajoohat maloom karain aur un ka hal mil kar talash karain.

Ham aik aisa platform tashkil denay ki koshish kar rahay hain jis main aam admi ki raai aur madad say aisay asool waza kiaay jaain jin main yeh salahiaat maujood ho kay wo kisi shaksh ko bhi apna numainda muntakhib karnay say pehlay us ki ahliat, kirdar aur bay gharzi ko parakh sakain.

Agar app mufad parast  Leadroon aur naahl intazamia say jan churanay kay liye amli taur per kuch karnay ka jazba rakhtay hoon to is platform main shamil ho kar hamari madad karain. Her Pakistani is ki tayyari main hissa lay sakta hai. Platform ki tayyari main barabri kay asool ko madday nazar rakha jaay ga. Ham nay is ka aik bunyadi khaka tayyar kia hay jis main mazid behtari ki bohot gunjaaish maujood hay. Her Pakistani ko dawat hay kay woh is khakay ko samjhay aur agar us kay pass is khakay ko behtar bananay ki koi tajweez maujood ho to woh isay paish karay.

Agar app kohamray bunyadi khyal say ittefaq ho to aap bhi is kam main hamaray sath shamil ho saktay hain.

Copyright(c) 2002 My Company. All rights reserved.
[email protected]